Marsiya Text
(Salaam)
Ali sa bi na koi aadile zamaana huva
Ke ek baaz-o kabutar ka aashiyana huva
Makeen rahe na makaan turfa karkhana huva
Zameen ulat gayi kya munqalib
zamana huva
Andheri qabr thi aur mein tha ya Ali-e wali
Huzoor aaye toh roshan siyah qana huva
Raha na koi bahattar mein zohr tak baaqi
Hussain rehgaye aur qaafela ravvana huva
Mila na Asghare naadan ko jaam pani ka
Suraahi daar gala teer ka nishana huva
Firaqe sheh ka na sadma utha Sakina se
Qalaq se jaan gayi mauth ka bahana huva
Bhatak ke raah se peeche kahin na reh jaoon
Utho Anees utho qaafela rawana
huva
Home | The Holy Quran | Marsiye | Majalis | Nauhay | Qasiday | Munajat | Duas | Books | Islamic Gallery